Aaj mein kuch duba hua sa hun,
Thora lekin kuch ukhra hua sa hun,
Kuch karne ki majburi hai,
Kuch na karne ki lachari hai,
Aashayeen kub nirashaoon mein badal jayen pata nahin chalta,
Uthkar phir girne ka koi sahara nahin milta,
Armaan hein aankhon mein wishwaas hai seene mein,
Kami to hai ek adad prayas ki,
Jo asani se nahin hota,
Jalte patangey ko dekhkar
Hota hun mein kai baar sharmsaar,
Mar mitta hai wo adna bhi jalte deep mein,
Lakshay prapti ke liye har baar,
Toh phr mein kyun peeche rahun,
Lakshay prapti ka kyun na karun prayaas, aakhir mein bhi, jaisa bhi hu, hu to ek insaan,
Jyada nahin toh kya hua, thora he sahi magar, abhi bhi bacha hai mujhme kahin swabhimaan,
Mujhme kahin swabhimaan.......